Chatting
Dunya badal gai hai chatting se
Hoti hai ab hacking chatting se
Hoti thi larkian subah shaam hamari gali main
Nikalna hogaya un ka band chatting se
Kyoon ke hoti hain ab too settting chatting se
Dunya hogai hai bekar chatting se
Hoti hain kharab aakhein chatting se
Pehlay karte hum dost batain hotloon main
Peetay thay chai waghera hotloon main
Khoob hoti thi masti hotloon main
Khelte thay maza kiya karthe thay
Ab to hoti hai baat to who bhi chatting se
Bekaar hogaya hai telephone chatting se
Hojaati hai ab voice chat chatting se
Pata nahin tha kya matlab hota hai asl ka
Pata chal gaye sare mathlub chatting se
Horahain hain bad naam Log chatting se
Karta nahin koi angrez baatain humse chatting se
Kehtay hain k aati hai English chatting se
Main kehtha hoon hogaye hai English kharab chatting se
Hoti thi bari dhoom dhaam se shadi
Nikah horaha hai ab chatting se
Ab toh aisa lagtha hai ke janab
Mohabbat hogayee hai chatting se.!
Student Ki pehchan
Yeh Student Ki pehchan Hai
Hath main Cigrette Moo Main pan hai
Mashoor yeh Shaitan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Parhna isay aata nahi
Class kabhi jata nahi
Canteen iS ki jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Jalson main Sab Se aagey hain
Naron main Sab Se aagey hain
Imtehaan main naqal iS ki aan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Larkiyon ke peechey hai Para
Jo larki ghussa ho zara
Tab yeh banta Bhai jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Next Page >>